Sunday, December 26, 2004

Dar sa Lagta hai..

Dar sa lagta hai, tumhe kho dene me
Hum to soch kar bhi, shihar jaate hai
Na jaane tum bin, zindagi kaisi hogi
Yahi soch kar, mere sapne bikhar jaate hai
.......................................
Thaam kar tere haato ko
Kitna sukun hota tha mere man ko
Aab viraan raho pe, chupa lete hai aapne haato ko
Akele dar sa lagta hai mere tan ko
.........................
Abhi to naye mod pe, bas kadam hi rakha hai
Abhi to akele naye naye hue hai
Bahut tanha abhi se, mera dil lag raha hai
Abhi abhi to, tanhayio ke aafsaane jude hai
..................................
Kaise batau ,kaise samjhau
Ki tum bin kaise, mai khus rah sakunga
Baat karta hu do char din ki,
Pata nahi do char pal bhi, kya zinda rah sakunga
.................................

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब