Thursday, March 31, 2005

Anjaam(sad)..

Thak gayi thi zindagi,jab dil toda tha unhone mera
Jina is kadar muskil ho gaya tha, kya kahu
Jab joda tha diljalo me, unhone naam mera
..............
Bahut rote the hum,
Jaante nahi the kis baat ki saaja hame mili
Nirdosh ho kar bhi gunahgaar ban gaye
Ye zindagi hume kyu bebajah mili
..............
Pyar me kabhi dokha hamne kiya nahi tha
Kabhi gairo se dil ka rista kiya nahi tha
Phir unhone hame begana kyu bana diya
Phulo se bani meri duniya me...
Aag is kadar kyu laga diya
............
na rook paye dil ke ahsaaso ko hum
Jab mile unse har baat jaba pe chali aayi
Mohabat ke kabr pe akele hi roye hum
Unhone to bas akar farz aada kar diya
.......................
Jab milenge khuda se, to kahenge jarur
Abki janam me kabhi mujhe, unse na milana
Ji lenge kaato me hi,koi gum nahi
Kabhi mere dil me, ishq ke phul mat khilana
.......................

Wednesday, March 30, 2005

kareeb

Kitni kosise ki duur rahne ki aapse
Par chah kar bhi, aisa kar na paaye
Har war jab bhi gaye aapko chor kar
Utne hi aapke karib chale aaye.
............
Kyu itna karte hai Intajaar
Kyu Karte hai, hum aapse itna pyar
Dil se hum ye bhi, na puch paaye
Yu hi bebas hum,
aapke itne karib chale aaye.
..................
Katte nahi kat te hai ye pal
Appke bina jina muskil itna lagta hai
Kisi bhi raaho me chale jaye phir bhi
Har chehra aapke jaisa lagta hai.
................
Dil ke ye pukaar,aap tak
Hum dil se pahuchana chahte hai
Tanha Tanha hamari duniya hai
Aap jaisa ek sathi banana chahte hai.
................

Tuesday, March 22, 2005

Dosti...

कभी  अजनबी   थे  
अब  हमनशी  बन  गए  हैं
साथ  चलते  चलते  ज़िन्दगी  के  राहो  पे
एक  दुसरे  की  ज़िन्दगी  बन  गए  हैं
........
छोटी  छोटी  मुलाकाते  
देखो  रंग  इतनी  ला  रही  है
सतरंगी  बन  रही  है  दुनिया
और  ज़िन्दगी  मुस्कुरा  रही  है .
...........
दोस्ती  ने  किया  है  ये  जादू  
की  मुश्किले  आसान  हो  गए  हैं
मिलते  हैं  फूल  ही  राहो  पे
काटे  ना  जाने  कहा  खो  गए  हैं
...
कोई  चाहत  रुकने  की  नहीं  है  
आपसे  कदम  जो  मिल  गए  हैं
दूर  तक  फूलो   के  गाव दिखते  हैं
दोस्ती   के  फूल  जो  अब   खिल  गए  हैं
..............

Monday, March 14, 2005

Jaante Hai..

Pyar Na sahi hum,
Par aaitbaar to karte hai
Ruke bhale hi na aapke liye
Par aapka Intajaar to karte hai..
...............
kahte nahi hai dil ke baatein,
Par baat to karte hai
Bhale hi na de sake dil sara
Par Dil me to,aapko rakhte hai..
..................
Aapne aasuo me dekh na paye,
Par muskurahto me aapko yaad to karte hai
Baat na sake apne gum shayad aapse
Par khusyo ka bhagidaar to rakhte hai
...................
Mar na paaye aapke liye
Par aapke saath Jine ka khayal to karte hai
Ho na ho mahfilo me aapke saath
Par tanhayio me aapke pass to rahte hai
...................
maana aap hamara pahla pyar nahi
Par aapko aapna akhri to manate hai.
Kuch bhi ho, hum juda na honge
Aap shayad nahi, par hum to ye jaante hai.
..................

Friday, March 04, 2005

Puchta Hu Khud Se

Aaj jab maalum ho chala hai..
Ki is ujjad chuki duniya me meri,
Shayad phul khil na payenge.
Lakh kosise kar lu mai par,
Hum tum shayad mil na payenge.

Aaj jab ahsaas itna hai dil ko...
Ki akele hame chora hai zindagi ne
Jo banayi the sapne maine un dino me,
Usse toda hai mere pyar ne ,dillagi me.

Tu Puchte hai khud se...
Kyu dil lagaya jab sab jaante the,
Andhere me chupi par
Unki iraado ko pahchante the.

Jawab na unke hoto pe hai
Na hi mera dil kuch bol pata hai
Itna ghayal hai bebas wo
Kuch bhi bolne se ghabrata hai.

Aisi kya dusmani thi humse aie dil
Ki tumne unse dosti kar li
Hum to akele hi acche the dost mere
Phir kyu tumne unse dillagi kar li

Janta tha tumhari minnate kubul na hogi
Pyar karne ka sabak sikhna hi hoga
Chalo saath marenge gum nahi mere dost
To shayad Kafan maut ka hume..
Khud kichna hi hoga....

नक़ाब