Saturday, September 23, 2006

Hawaa

आवारा हवा का, अंजान मुसाफिर हूँ
दिल में न बसू किसी के, ऐसा काफिर hun
छूप जाऊंगा कही, दिख न पाउँगा
सच्चा नही मैं, आशिक हूँ

सासों से एक दिन रूह में, उतर जाऊंगा
धीरे धीरे इतने करीब, चला आऊंगा
जी न सकोगी मेरे बिन फिर एक पल
मैं तुम्हारी ज़िन्दगी की, वजह बन जाऊंगा
….
उड़ा ले जाऊंगा तुम्हे, अपने जहाँ में
मेरे दिशाओ में ही हमेशा, ख़ुद को पाओगी
इतना जूनून है मेरे रफ़्तार में
कित तुम मेरी दीवानी, बन ही जाओगी
….
न बंद कर पाओगी, मुझे मुठियों में
न बाँध पाओगी मुझे, आपने दमन से
बिना दिखे निकल जाऊंगा, दूर तुमसे
न रोक पाओगी, मुझे आपने आँगन में

Friday, September 22, 2006

Mile na Mile...

Aye waqt kuch saath de mera
Hosh aane to de…phir challenge saath
Zi to lu kuch pal hi mile hai
Phir kar lenge hum tumse bhi baat
...
Aye lav, muskuraa to lee abhi
Ki phir mauka shayad mile na mile
Phir sochenge aage ho so so
Ki phir ye hasi in lavo pe khile na khile

Aye hawa ruk jaa kuch pal auur
Ki unki awaj ko mere pass hi rakh
Bas jaaye mere dil me phir chale jana
Ki phir tumhe wo ahsaas mile na mile

Aye shabad,bich ja panno pe rango ki tarah
Ki phir na jaane hum mile na mile
Satrangi syahii se likh raha hu aaj
Phir khusioo ke geet,hum likhe na likhe

Wednesday, September 20, 2006

Kyu..

Kyu deta nahi unhe khuda saaja
Jo khuda ke naam pe masoomo ko saaja dete hai
Jaan lete hai bina kisi karan ke
Phir khuda ke pass ja ke kyu roote hai...
Insaaniyat bhula di hai jin hawanoo ne
Unse kyu hum insaaniyat karte hai
Jala kyu nahi dete zinda bich chauraaho pe
Kyu kanooni daw pecho se unhe parakhte hai...
Diwaar jo kahda kar rahe hai majhab ke naam pe
Unhe un diwaaro me hum chinwa kyu nahi dete
Roshni ke naame ne andhera pahilate hai wo
Unhe andhero ke saath kyu hum chor nahi dete...
Kab tak takte rahenge hum aasma ko
Ki koi devdoot ban ke aayega hume bachane ko
Jalana hoga deep man ke ander hi aab
Nahi to bas rah jayegi kahaniya dardo ki , sunanen ko...

Friday, September 15, 2006

Kal Aur Aaj

Aankho se pahle jab, kaan khula karte the
Roshni se pahle jab, ghante baja karte the
Shankh ke naad se gunjta tha aangan
Panchi ke saath tab, jaga hum karte the

Aaj band kamro me rohsni, aati bhi nahi hai
Koi chidiya mere khidkioo se, gaati bhi nahi hai
Logo ke shor gul se gunjta rahta hai makaan
Ujli raato me need aab, aati nahi hai

Jaate the sair pe, dada dadi ke saath
Thandi ooso se roj mila karte the hum
Daud hoti thi sabme, pahuchne ki wo sikhar tak
Phir bhi rahta tha dil me, laut aane ka dam

Aab chato pe bas tahalte hai hum
Kaha koi oos se mila karte hai hum
Daud hoti hai roj jaane ko office
Rahta nahi dil me laut aane ka dum

Sahme se aate the jab deer hote the hum
Kahi dekh na le papa hamare gande kadam
Dar lagta tha sir ke dando se hume
Isliye khate the roj na der ghar jaane ki kasam

Aab dar lagta hai office se aane ko mujhe
Khidyo darwajo ke sive koi intajar karta nahi
Deer ho jau roj bapas aane me phir bhi
Koi mujhe kuch kahta bhi nahi

Laut jaaye bapas phir us umar me
Aisa mumkin aab lagta nahi hai
Gir chuka hu banawati rango se is tarah
Ki aapne baago ka rang aab chadta nahi hai

Wednesday, September 13, 2006

Wo..

Ek Nakaab se mulakaat ho gayi thi
Jaane aanjane do baat ho gayi thi
Chupi chupi si rahti thi khud se
Na jaane kya baat ho gayi hai

Muskurati thi kabhi, kisi baat pe
To kisi baat me, nazare mila leti thi
Lab par aate kitni kisso ko
Hoto se kyu wo chupa leti thi
….
Khoyi khoyi rahti kyu wo thi
Kyu rasto pe nazare rakhti thi
Do chaar kadam chal. phir ruk kar kyu
Aksar piche wo dekha karti thi

Gum ho gayi dhund me, ek din na jaane
Wo hawa na jaane kaha rahti thi
Do tuk aankhe uski naa jaane
Kiski raahe dekha karti thi.

Naya Kadam

Nahi Chalna mujhe bane hue raaho pe
Nahi mujhe ban chuki takdir banaani hai
Ansh hu uus mahaan ujjwal sroth ka
Mujhe aapne haato se aapni lakir banaani hai

Nahi mujhe dekhne phir se wahi sapne
Jo hazar lakho ne roj dekhe hai
Kadmo ke nisha ke piche piche
Na jaane kitno ne aapne takdir beche hai


Karna hai kuch naya mujhe
Mujhe aapni zaamin banaani hai
Nahi panda mujhe purane kisso ko
Mujhe khud ek kahani banaani hai
...
Alag hu mai is zahaa me
Ye pahchaan nahi koi puranii hai
Nahi bahna mujhe bahti dharao me
Har lahar ko aapni disha me bahani hai

नक़ाब