Friday, September 15, 2006

Kal Aur Aaj

Aankho se pahle jab, kaan khula karte the
Roshni se pahle jab, ghante baja karte the
Shankh ke naad se gunjta tha aangan
Panchi ke saath tab, jaga hum karte the

Aaj band kamro me rohsni, aati bhi nahi hai
Koi chidiya mere khidkioo se, gaati bhi nahi hai
Logo ke shor gul se gunjta rahta hai makaan
Ujli raato me need aab, aati nahi hai

Jaate the sair pe, dada dadi ke saath
Thandi ooso se roj mila karte the hum
Daud hoti thi sabme, pahuchne ki wo sikhar tak
Phir bhi rahta tha dil me, laut aane ka dam

Aab chato pe bas tahalte hai hum
Kaha koi oos se mila karte hai hum
Daud hoti hai roj jaane ko office
Rahta nahi dil me laut aane ka dum

Sahme se aate the jab deer hote the hum
Kahi dekh na le papa hamare gande kadam
Dar lagta tha sir ke dando se hume
Isliye khate the roj na der ghar jaane ki kasam

Aab dar lagta hai office se aane ko mujhe
Khidyo darwajo ke sive koi intajar karta nahi
Deer ho jau roj bapas aane me phir bhi
Koi mujhe kuch kahta bhi nahi

Laut jaaye bapas phir us umar me
Aisa mumkin aab lagta nahi hai
Gir chuka hu banawati rango se is tarah
Ki aapne baago ka rang aab chadta nahi hai

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब