Friday, March 04, 2005

Puchta Hu Khud Se

Aaj jab maalum ho chala hai..
Ki is ujjad chuki duniya me meri,
Shayad phul khil na payenge.
Lakh kosise kar lu mai par,
Hum tum shayad mil na payenge.

Aaj jab ahsaas itna hai dil ko...
Ki akele hame chora hai zindagi ne
Jo banayi the sapne maine un dino me,
Usse toda hai mere pyar ne ,dillagi me.

Tu Puchte hai khud se...
Kyu dil lagaya jab sab jaante the,
Andhere me chupi par
Unki iraado ko pahchante the.

Jawab na unke hoto pe hai
Na hi mera dil kuch bol pata hai
Itna ghayal hai bebas wo
Kuch bhi bolne se ghabrata hai.

Aisi kya dusmani thi humse aie dil
Ki tumne unse dosti kar li
Hum to akele hi acche the dost mere
Phir kyu tumne unse dillagi kar li

Janta tha tumhari minnate kubul na hogi
Pyar karne ka sabak sikhna hi hoga
Chalo saath marenge gum nahi mere dost
To shayad Kafan maut ka hume..
Khud kichna hi hoga....

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब