Thursday, December 16, 2004

The Land Of Mine(Memories)

.........................
KABHI HASTI THI PHIZAYE GIN GALIYO ME.
WAHA AAB SANAATO KE JAAL BICHE HAI.
NANHE PAARO KI CHAAP JAHA CHOR RAKHI THI MAINE
WAHA AANSHUO KE LAMBE NAHAR BAN CHUKE HAI
.................................
DAH GAYI HAI WO DIWARE,JINKE PICHE HUM CHUPA KARTE THE
.WAH GAYE HAI WO DARAKTH,JO WAHA KHADE RAHTE THE.
JAHA RAHTI THI AKSAR ROSHNI KI LAMBI PARCHAIYAA
WAHA AAB DIYE BHI JALA NAHI KARTE HAI
..................................
BIKHRI ZINDAGI KE PAL BACHTE CHUPE RAHTE HAI.
DIN RAAT KE ANTAR KATAM HO RAHE HAI.
LAL AANKO SE NIKLI CHINGARIYA HI DIKTI HAI.
MOM SE BANE DIL BHI SAKTH HO RAHE HAI
....................................
KIDHAR JAAYE KYA PATA,RAHO KE NISDHA DHUL GAYE HAI.
SUNSAAN ANDHERO ME KHUKHAR BHAKCHAK GHUMTE HAI.
BARSO SE AAB MERE NANHE PARRO KI AAHAT NAHI PADTI
AUR MAUSAM KE SARGAM DHIRE DHIRE CHUP RAHE HAI.

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब