Monday, December 27, 2004

Jeet jaayenge hum...

Gire hai zami pe, abhi abhi hi hum
Bas abhi hi to, sachayi jaan paaye hai
Bas kuch auur waqt ji le isme, suku aa jaaye
Bahut muskil se hi sahi,
Hum tanha khud ko, maan paaye hai.
...........
Ho sakta hai, in andhero ki subah
Is kadar assan na ho
Kho jaaye hum is tarah ki
Hume apne begaano ki Pahchaan na ho
..............................
Par phir housle hum, khatam hone na denge
Aapni haar ko, dil ka zakham, hone na denge
Bahut ro le, but ruk gaye tere aas me..
Aab aur khud ko hum khone na denge
............................
Is tarah ye dard, mujhe mita na sakenge
hum ladenge, jab tak jaan baaki hai
Meri nafrat aabad rahegi, mere sine me
Abhi zinda hu ,Abhi jaan baki hai
................

Sunday, December 26, 2004

Amar prem

Aye dil kyo ro rahe ho
Aisa kya hai, jo kho rahe ho
Abhi bhi tere paas,aanginat uski yaade hai
Kabhi na katam hone wali, uski baate hai.
...............................
saale se saath rah kar
Ek bandhan jo ban gaya hai
Use kaha koi tod paayenge
Tum saache ho,auur tumhara pyar saccha hai
Todne wale, khud hi mitti me mil jaayene
...............................
Muskuraate rahna ki, itna kuch mila hai
Ke auuro ke paas hasne ko bhi nahi hota
pyar to pyar hai, kabhi nahi marta
Tumne amar prem ko likha hai,maan jao sach yahi hai
.........................................
Milna aur juda ho jaane hi zindagi hai
Manzilo pe naye humraah to milte hi zaayenge
Appne pyar ko aapne saath dil me zinda rakhna
Dekhna tere saath kafile milte hi zaayenge
...............................................
Tutna nahi, ki tut kar kisi ka bhala hua nahi
Majbut teri pyar ki diwaro me, bahut jaan baaki hai
mana tera dilwar tere karib nahi
To kya hua, kaha durriya pyar ko maar saki hai
.............................
Jeet zaayenge ek din, ki yaad rakhna
Sache dil ki jeet hamesha se hoto hai
Bikhar jayenge todne waale tere raaho ke
Jo tere paas, biswaas ka chamkta moti hai.
.................

Dar sa Lagta hai..

Dar sa lagta hai, tumhe kho dene me
Hum to soch kar bhi, shihar jaate hai
Na jaane tum bin, zindagi kaisi hogi
Yahi soch kar, mere sapne bikhar jaate hai
.......................................
Thaam kar tere haato ko
Kitna sukun hota tha mere man ko
Aab viraan raho pe, chupa lete hai aapne haato ko
Akele dar sa lagta hai mere tan ko
.........................
Abhi to naye mod pe, bas kadam hi rakha hai
Abhi to akele naye naye hue hai
Bahut tanha abhi se, mera dil lag raha hai
Abhi abhi to, tanhayio ke aafsaane jude hai
..................................
Kaise batau ,kaise samjhau
Ki tum bin kaise, mai khus rah sakunga
Baat karta hu do char din ki,
Pata nahi do char pal bhi, kya zinda rah sakunga
.................................

Virrano me...

Kon se raaho me aa gaye hai
Na jaane, kaha se shuruaat kar ke
Anjaane hawao ke, lahardaar kafile hai
Aur begane musafiro ke hausle
..........................
Kat gayi hai zami pahchan wali
Yaa aapno ne, chera chupa liya hai
Abhi to basant ke mausam hai
Phir bhi paato ne, zami be basera bana liya hai
....................................
Roshan chirago se hoti thi galiya jo
Aab din ke ujjale bhi, kam pad gaye hai
To meri nazar ka dos hai shayad
Ya phir, bure waqt hi mujh pe aad gaye hai
.....................................
Khuli rahti thi, jo darwaaje mere aane pe
Aab khidkiyo se bhi aankhe dekhti nahi
Kitne kadam hote the, jab gujra karte the yahi se
Aab to ret pe bhi koi nisha milte nahi
...................................
Nazar utthi nahi kahi, ki
Dekhne ko bas koi nahi milta
Shayad haawao ne rukh badal liya hai
Haa, Tabhi to mere saath aab koi nahi chalta
..................................

Tun Bin.2

Aksar khayale chali jaati hai aagle mod pe
Jab hum tum saath nahi honge
Gir parenge raaho ke thokro se
To uttane ke liye tere haath nahi honge
..........................
Nikal aayenge aansu aanko se
Jab teri yaade aayengi
Kon pochega in aasuo ko
Kon mujhe phir se hasayengi
.............................
Ghabra jaate hai, ki tum bin
Kaise akele rah payenge
Begano ki basti to hogi
Usme bhi tanha rah jaayenge
...................
Kaise phir se has paayenge
Kaise tumhe bhula paayenge
Dil me jo tasvir basi hai
Kaise use jala paayenge
........................
Kash kahi aisa kar paate
Chalte lamho ko kaabu kar paate
Kash kahi aaisa ho jaata
Aur hum tum saath rah paate.
.........................

Saturday, December 25, 2004

Bewafa.2

तेरी  बेवफाई  ने .... जीना  सिखा  दिया
आँखों   से  गिरते  नहीं  आसू
तुमने  दिए  हैं  इतने  सितम
की............
वक़्त  ने,  आंशुओ को  पीना  सिखा  दिया....
..........................
उम्मीद  ना  थी  जितनी
उतने  रंग  तुमने  बदल  डाले  हैं
सबने  प्यार  को  खुदा  माना  हैं
तुमने  तो  इसके  मायने  ही  बदल  डाले  हैं .
..............................
भरे  नहीं  है , ज़ख्म  दिल  के
हम  मरहम   लगाना  भी  नहीं  चाहते
अच्छा  हैं......
तेरे  सितम  हरे  ही  रहें
हम  उन्हें.....
भुलाना  भी  नहीं  चाहते
..............................
जो  कुसूर  हुआ  है  इस  दिल  से  
उसके  निशा  शायद  दिल,   मिटा  नहीं  पायेगा
इस  कदर  बेवफाई  जो  की  है  आपने
दीवाना  उसे  कभी , भुला  ना  पायेगा  
...................................

Monday, December 20, 2004

Duaa

Nahi khafa hai tumse
Ki ishq me fasana to banta hi rahta hai
Hum to bas tumhari khusi hi chaahte hai
To kya kare zamana ise kutch aur, kahta hi rahta hai
............................
Duur ho jaau tumse,khuda kar na sakega
Rahenge tere raaho me roshan, sitaron ki tarah
Har gam me mujhe kareeb paaogi aapne
Ki ek dost ko dosti se, koi judaa kar na sakega
...............................
Gir jaogi kabhi, auur koi sahare na honge
Yaad rakhna, hum kahi tere raahoo ke kinare hi honge
Chodh jaaye akele tumhe, aisa kar na paayenge
Khush rahenge tumhe khush dekh kar,
Khuda kare aapke raaho me, kabhi gum na aayenge
..............................
Khafa ho nahi paayenge tumse, chah kar bhi hum
Jab bhi niklege ye labz,hum to bas aapki duua hi mangte rahenge
Ki Humne to kasam khai hi,dosti ki kasam
Nibhayenge akhri dum tak is tarah apni dosti hum,
Ki har zamane me log is fasane ko jaante rahenge..................

Friday, December 17, 2004

Waqt

Gujar jaate hai meri raaho se is tarah
Jaise mujhe pahchante nahi hai
Pahle to zindagi kaha karte the hamko
Aab kahte hai ki, hame jaante nahi hai.
..............
Ki waqt ke saath dosti bhi bhula di hai unhone
ki kitaabo me aapno ke mayine badal gaye hai
ham to waise hi hai, jaise pahle the
phir kyu wo is tarah nikal gaye hai..
................
Dil aaj bhi unhe manata nahi bewafa
Hum to aapni kismat ko hi, bewafa kah lete hai
Kya kare pyar dil se jaata nahi, kuch bhi kar le wo
Isliye hum unke har sitam, has ke sah lete hai
...................
Jab bhi milte hai hamse,muskuraate bhi nahi hai
Puchne pe jawab dene se bhi katar jaate hai..
Pahle zaamane ko bhul kar, mohaabat karte the humse
aaj hume bhul kar, zamane ko dost batate hai.
...............

Thursday, December 16, 2004

Dosti...

Mai aur tum..
Aur dosti hamari....
Chal rahi hai hawao ki tarah..
Ye zindagi hamari... ......

Kabhi ek oor se tum bah rahe ho..
Kabhi ek aor se hum bah rahe hai...
Baate hoti hai aksar,
Par rahte hai gumsum.
Mai aur tum.......

Alag alag raho pe..
Alag logo se milte hai..
Aksar kahaniya ek dujhe se kahte hai.
Haste hai hasate hai..aksar gungunate hai..
Isi tarah raho pe zindagi ke chale jaate hai
..................
Basera nahi hai hum dosto ka..
Alag rahhe khuda ne bana rakhi hai.
Phir bhi mil jaate hai aksar ek mod pe..
To shayad dosti ne hi,kuch aur takdir bana rakhi hai..

Pyar Tumse Hai(Love)

Aaj tum ja rahi ho chor kar,
Kal lot kar tumhe aana hi hoga,
Is tarah dil tod deti ho har baat pe,
Ek din tumko pachtana hi hoga
.......
Aaj baharoo ke mausam hai, tumhari zindagi me,
Aaj hazaaro sahare tumhare liye kade rahte hai,
Bas ek jhalak paa le teri,
Ishi aas pe, Tumhare ghar ke aage diwane bhare rahte hai
..................
Khuda ne banaya haia tumhe is tarah,
To shayad ye khuda ki hi inaayat hogi,
Har rah pe rahenge diwane tere intajaar me,
Dekho unhe ya na dekho,nahi koi shikayat hogi
.......................
Par har roshni ki shaam hoti hi hai,
To is roshani ki bhi shaam hogi..
Jab kho jaaogi aandhero me bebas

Tab tumhe mere muhabbat ki pahchan hogi
................
Aur shayad khada usi mod pe, mil jaau tumhe
Jis mod pe tum aaj chor chali jaa rahi ho...
Nahi shikayat tumse hai, aae meri zindagi
Bhale hi tum duriya mujhse, aaj bada rahi ho

..............

Thahraw(life)

...........................
Kidhar kho gayi hai shakhaye zindagi ki.
Kidhar dastaan kho gaye hai,
Kaliyo si chahkti rahti thi wo.
Muskurahte kahi soo gaye hai
........................
Udd gayi hai, patto ki tarah jo
Raakh wo yaado ki sabbd ho gaye hai.
Pal pal badalti hai duniya is tarah
Aankhe har jagah satbdh ho gaye hai
.................
Phili chadar si ghabrahto me
Patte patte chup kar rahne lage hai
Milti nahi aas zindagi ki aab koi..
To andhero me ummid ki diye bujhne lage hai
.......................................
Thami thami si hawao ke jhulo pe
Bas aab juhle hi akele jhulte hai
Saanato ne jit le hai, jung shayad
Pichli gali me rahne wale kuch log..
Aisa bolte hai...........................................

The Land Of Mine(Memories)

.........................
KABHI HASTI THI PHIZAYE GIN GALIYO ME.
WAHA AAB SANAATO KE JAAL BICHE HAI.
NANHE PAARO KI CHAAP JAHA CHOR RAKHI THI MAINE
WAHA AANSHUO KE LAMBE NAHAR BAN CHUKE HAI
.................................
DAH GAYI HAI WO DIWARE,JINKE PICHE HUM CHUPA KARTE THE
.WAH GAYE HAI WO DARAKTH,JO WAHA KHADE RAHTE THE.
JAHA RAHTI THI AKSAR ROSHNI KI LAMBI PARCHAIYAA
WAHA AAB DIYE BHI JALA NAHI KARTE HAI
..................................
BIKHRI ZINDAGI KE PAL BACHTE CHUPE RAHTE HAI.
DIN RAAT KE ANTAR KATAM HO RAHE HAI.
LAL AANKO SE NIKLI CHINGARIYA HI DIKTI HAI.
MOM SE BANE DIL BHI SAKTH HO RAHE HAI
....................................
KIDHAR JAAYE KYA PATA,RAHO KE NISDHA DHUL GAYE HAI.
SUNSAAN ANDHERO ME KHUKHAR BHAKCHAK GHUMTE HAI.
BARSO SE AAB MERE NANHE PARRO KI AAHAT NAHI PADTI
AUR MAUSAM KE SARGAM DHIRE DHIRE CHUP RAHE HAI.

Zinna chate Hai(Life)

PYALO ME DUBI HAR GAM KO PINA CHAHTE HAI.
TERE BIN HUA TO KYA HUM PHIR BHI JINA CHATE HAI.T
ANHA TANHA JINA AAB SIKH RHE HAI.
AAB DARDO KO SINA CHATE HAI
.............
KAB SE RAAHO PE RUKE PADE HAI
JIN RAHO SE TUM CHUT GAYI THI
KAB SE AANKHO KO BHARE PADE HAI
JAB SE TUM MUJHSE RUTH GAYI THI
...........................
NAYE RAAHO PE TUM BIN BAD PAANA.
DEKHO KITNA MUSKIL LAGTA HAI.
CHALNA HAI PHIR BHI, AAB THAN LIYA HAI.
TUM BIN JINA HAI, AAB MAAN LIYA HAI
......................................
AKSAR AANKO SE GIRTE HAI AANSHU.
AKSAR TANHA DIL ROTA RAHTA HAI.
RUK RUK KAR HUM MARTE RAHTE HAI.
KASH MIL JAAO SOCHA KARTE HAI
..............................................
HAR DIN JITE HAI, HAR PAL MARTE HAI.
PHIR BHI YAADO KO MITA RAHE HAI.
JITE NA JITE YAKI NAHI HAI.
PHIR BHI PANNO KO HATA RAHE HAI
...............................

Saturday, December 11, 2004

Musaafir(Journey)

Do pal hi ruke,pyar karne ko hum
Do pal me hi isse pahchan ne lage
Dil tutna tha jo tuta hi mera
Chalo isi bahane
Hum bhi zindagi ko jaanne lage.
........................
Khus ho liye, do ghri to
Hooto pe muskuraahte chali aayi
Gum hua to aansuo ki bhi
Aankho me labee ladi chali aayi
.........................
Is tarah zindagi ne likhi kahani
Ki hum bhi khaniyoo ke sakhaks ho gaye
Itni raahe auur Manjile badli ki
Hum bhi musfiro ke bhakt ho gaye.
..........................
Tanhayieo ne jo badaya daman aapna
Unhi ke saath dostana kar gaye
Ki humne bhi kiya tha kabhi pyar
Isliye hum bhi tanhaa rah gaye.
.......................

Thursday, December 09, 2004

Mulakaat(Love)

KUCH TUM KAHO TO BAAT HO.
KUCH HUM KAHE TO IJHAAR HO.
YU CHUP RAHOGI TO KIASE IKRAAR HOGA.
DHIRE DHIRE KAISE HUM DONO ME PYAR HOGA

YE HAI JO DURIYA ,EK DIN MITANA HAI HAME
ABHI TO SURUAAT HAI, BAHUT DUUR JANA HAI HAME.
BAS TERE DIL SE MUJHE IJAAZAT MIL JAYE TO.
TERE DIL ME AAPNA EK GHAR BASANA HAI HAME......

KYU MUSKURA RAHI HO AAISE.
KYU DIL CHURA RAHI HO AISE.
HUM TO BAHUT NAYE HAI PYAR KI RAHO ME.
PHIR MUJHE KYO AAJMA RAHI HO AISE.....

ITNE RANGO KI HAI JO, MERE SAPNE TUMHARE LIYE.
JINHE AKSAR DIN RAAT, AANKHO ME DEKHTE RAHTE HAI.
KYA KABHI AAOGI MERE SAPNE ME RANG BHARNE KO.
JAAB BHI AATI HO PASS, CHUPCHAP YAHI PUCHTE RAHTE HAI.
...........

HeartBreak

.................
Pyar me aksar dil tut jaya karte hai
Aksar mahboob dilbar se ruth jaya karte hai
To kya hua mere saath bhi aisa hua
Ki aksar hare darakth bhi sukh jaya karte hai.
......
Kabhi yaad kiya karte the mujhe hardum khayalo me
Wo aab hamara khayaal tak karte nahi hai
Pahle to dadkano me chupa ke rakhte the
aab to meri tasvir bhi kahi rakhte nahi hai
.................
Kaha kuch naya hua,jo dil tut gaya
Ki diljale to har raah pe khade milte hai
Jo aankhe mund mohaabat pe bharosa karte hai
Unke raaho me sirf kaate hi khila karte hai
....................
Hamne bhi pyar karke aye zindagi
Bas bewafayi ke sabak sikhe hai
Wo khusnasib auur honge jinhe baafaa mili
Ki mere dilbar ne to sirf jakhmo ke nisha khiche hai..
......................

Tum Bin.1(Sad)

Bahut jee liye tum bin,
Aab kahi bhid me kho jaanaa chahte hai..
Kya kare dil ke tukro ko samet kar.
Hum bhi inki tarah bikhar jana chahte hai......

Bahut akela ho gaya hu tum bin
Jab se gayi ho, hum jina bhul gaye hai
Bas aab bootlo me hi pite rahte hai,
Paimano se pina bhul gaye hai.........

Bahut yaad aati ho tum,
Cha kar bhi tumhe bhula nahi paate hai
Band ho jaati hai saanse bar bar aab to
dil se teri yaado ko mita nahi paate hai......

Kash mil jao ek baar hi bas
Khuda se yahi ummid rakh rahe hai.
Kahani katam hone ko hai aabto
Aankhri saanso tak, tera rasta tak rahe hai................

Kho Gayi Ho(Search)

Kidhar kho gayi ho aasmano me,
Har kahi tumhe hum, dund aaye hai..
Banjar har jagah jaami lag rahi hai aab..
Paato patto se tera pataa punch aaye hai...
.........................
Satrangi hai har phizaye, log kahte hai..
Par mejhe kyu ye sab berang lag rahe hai..
Manzile, koi aur dagar jaa rahi hai..
Ham kisi aur raaho me mud rahe hai..
...........................
Kyu bharosa kisi aur pe nahi karte hai..
Bas tumpe hi yaaki kiye jaa rahe hai..
Khuli hai aankhe aur sab dikta bhi hai..
Phir kyu, aanjane bane jaa rahe hai..
.....................
Har aansuo me teri tasvir dikh rahi hai..
Har lakir tera hi naam khich rahi hai..
Diwano ki tarah hum hue jaa rahe hai...
Ya phir zindagi kuch naya likh rahi hai...

Pyar Ho gaya hai

...................
Intejaar hai tumhara Is tarah
Ki har aahat teri aane ki wajah lagti hai
Aab bharosa nahi raha in aankho ka
Har waqt jo teri raah takti hai
..............
Hum pyar karte nahi tumse
Aisa khud se hazar waar kah rahe hai
Aksar ladte hai khud se wewajh
Wewajh hi ye sitam kyu sah rahe hai
.........
Kasmakash hai ki har muskurahat
Sirf tumpe hi aakar khatm hoti hai
Hum to itne diwanne kabhi na the
Aab to har gali ishq se saaji lagti hai
......................
Chpate rahte hai khud se..
Tumse chipana muskil lagta hai
Mera dil na jaane kaha kho gaya hai
Aab waha pe tumhara dil rahta hai..
.....

Tanhaa(Sad)

बहुत  तनहा  सा  लगता  है  मुझको  ...
अक्सर  बहुत  याद  आती  है  तेरी ..
चली  जो  गयी  हो  मुझे  छोर  कर ...
तो  होटो   पे  अक्सर  बात  आती  है  तेरी
...........................................
जब  साथ  थे  तब  लड़ते  रहें
छोटी  बातो  में  अक्सर  जगाड़ते  रहें ...
आब  ना  बाते  है  ना  मुलाकाते ..
बस  रह  गयी  है  तनहा  गमगीन  राते 
.................................................
हसना  मुस्कुराना  फिर  रूठ  जाना ..
याद  आता  है  मुजको  तेरा  सताना ...
मीठे  वो  पल  थे  सिर्फ  था  मुस्कुराना ..
आब  रह  गया  है  बस  रोने  का  बहाना
.................................................
एक  बार  तो  आ  जाओ  
कितनी  बातें  बतानी  है .
कह  ना  सका  साथ  रह  कर  तुम्हारे ..
छुपी  मेरे  दिल  में  कुछ  अजब  दिल  की   कहानी  है ..

Love in Computer Language

Itna miss karte hai tumko
Ki monitor pe har waqt tera chehra dikta rahta hai
Mujhe chor do ,ye keyboard bhi
Tera hi naam likhta rahta hai..
.....
Tere yaado ki script dil pe baar baar
Timly execute hoti rahti hai
Hum baar baar memory free karte hai phir bhi
Ye CPU dil ki, tumhe sochne me hi busy rahti hai..
....
Kitne Variables badal daale hai is Dil ke
Par core algo par tera hi logic chaya rahta hai..
Baar baar Itration chor kar line debugging karte hai
Par ye maan tere hi loop pe atka rahta hai...
.....

Aawaz(Love)

Hawaoo ne sunaya hai paigaam
Teri pukaar dil tak pahuch rahi hai
Bechain ho rahi dadhkano ne yaad kiya hai tumhe
Aankhe milne ko tumhe dund rahi hai..
.................
Chandini bikhar rahi hai aasma se
Roshni me tera chehra dikh raha hai mujhe
Laut rahe hai teri baho me saaamane ko hum
Isliye bapas bheja hai dil ka paigaam tujhe
.................
kitne aarsa hue teri mulakaato se mile
Kitna khali ye dil pratit ho raha hai
Kuch lamhe hi bache hai teri yaado ke
Phir milenge tumse,dikho ye dil kitni yaade sanjo raha hai
..................
Muskuraane lagi hai zindagi tere hone ke ahsaas se
Hum dil se baar baar rukne ko kah rahe hai
Abhi to waqt hai abhi intajaar baaki hai
Baade aasmano se phir bhi tere karib bad rahe hai..
................

Bas chalti rahti hai zindagi

.............................
Chate hai piche zindagi ke hum
Auur zindagi duur chali jaati hai har dum
Chot dene waale milte rahte hai har mod pe..
kaha milte hai lagane wale marhum.
...........................
Soch kar wahi hoga humraah
kitni waar galtiyaa karte rahte hai hum
Chot khate hai dil pe baar baar
Phit phi unhe duhraate rahte hai hum..
...............................
Bas kabhi hum aage, to kabhi khusiya
ye utha pakad har din shuru ho jaati hai
Muskura lete hai jab do chaar yaar mil jaate hai
To kabhi unke yaado me aankhe num ho jati hai
..............................

Wednesday, December 08, 2004

Choti si mulakaat(Yaadein)

Tum mili nahi phir bhi mil gayi ho
Phul ban kar mere dil me khil gayi ho.
Pahli mulakaat hi saahi, par kya asar ho gaya hai
Mera dil bhi uski yaado me kho gaya hai...
............................
Kitne mithe the wo pal tum jab karib thi,
Aanjani ho kar bhi un gadiyo pe mera nasib thi,
kuch bhi kar jaate, agar tum thoda musukura jaati,
Shayad kamaal hota jo tere dil ki baat mere dil tak aa jaati.
..............................
Na tumne kuch bola, na hamse koi baat ho payi.
Bas aapni aapni manjile karib chali aayi,
kitna bechain tha na jaane kis mod se tum bichad jaao,
Meri to kya kahu, jaan pe ban aayi,..
.................................
Par phir tumhe apne rasto pe jaane tha..
Aur mujhe kuch aur aage majilo pe kadam badana tha...
Gaadi ruki aur tum pal me kitni duur lagne lagi..
Shayad kismat me likha kuch aur fasana tha...
.................................
Aandhero me saaye ki tarah wo chali jaa rahi thi..
Mere dil ki dhadkan bhi kyu naa jaane badi jaa rahi thi..
Dekhegi mud ke ek baar to, aankhe aksar puch rahi thi..
Auur mere gaadi ko bhi badne ki rut aa rahi thi..
...................................
Wo sawaal sawaal hi rah gaya,
Aur wo aandhero me kho gayi hai..
Ha bas mere dil me us mulakaat ki hasi baraat sanjo gayi hai..
Mile na mile phir ye to upar wala hi janta hai...
Par kuch to baat thi usme, ki aab wo kuch aapni si ho gayi hai....
................................

Yaad aati ho tum(Love)

...................................

Aaj bhi naya hai wo pal
aaj bhi rangeen wo yaadein hai...
hum tum jab saath hua karte the
aaj bhi soch unhe, diwane hue jaate hai.....
........................................
Bhul nahi paate wo baate..
jise dil me chupa ke rakhte the tumhe sunane ke liye
wo shayari aaj bhi yaad hai..
jo likhi thi maine tumhe manane ke liye......
..........................................
wo kahani jo adhuri chor di maine
uske panno me kuch aur ,aab likhte bhi nahi hai..
mulakaate to sirf tumse hi acchi lagti thi
aab to aapno se bhi hum, milte nahi hai......
...........................................
Aab duur jo tumne basera bana liya hai
Mere andhero ko aapna savera bana liya hai.
Isliye aksar hum teri yaado ko chod kahi, bhul jaate hai...
Par bewafa shayad.... teri yaade bhi nahi,
aksar laut kar dil me basne chale aate hai
.....................................

Maamla Fit Hai(Flirting)

Tum hi tum ho har disha me,,
Jab se tum mujhse milne lagi ho..
Dil ke baag sajne lage hai..
jab se tum phul ban kar khilne lagi ho
....................
Ishq hua hai,sabko malum ho gaya hai..
bas tumhe hi batana baaki rah gaya hai
waise nikal padegi gaadi hamari..
aaisa baaju wala pandit kah gaya hai
.....................
ek do hui hai...
do char jab ho jayengi..
tab ye hai hello miss u me badal jayegiaaj
"aap" hai hum zaldi hi "tum" ho jayenge
dekhna ye mulakaate jarur rang layengi
.................................................
tere dil ke junction me hi,
aab mera akhri stopage lagta hai,
ho ke rahega bas ek bar jo i love u kah dogi
dekhna tera naam se mera naam jud ke rahega
.................

HUM - TUM(Frdship)

....................................
Bich rahi hai chaadro si
aankho ke samne jhil-mila rahi hai
dhire dhire aapni dosti
na jaane kitne rang laa rahi hai
................
kabhi haste rahte hai
kabhi muskuraate rahte hai
zindagi ke geet sang sang
hum dost aab gaate rahte hai...
............
duur na pahuche ho jayada
par ristoo ne asar dikha diya hai
har kaato ko has ke paar karne lage hai
to shayad dosti ne unhe hata diya hai
..............................
khul gayi hai har dishaye
har raste aapne se lagne lage hai
dekho dur dur tak jaha whi
aapni dosti ke phul sajne lage hai..
,..............
Zo hum dost saath waqt bita rahe hai
TO zindagi bhi karwat badalne lagi hai
ruk jaate the kabhi lambe raaho ko dekh kar
Aaj har mazil haasin lagne lagi hai..
......
....FRDS FOREVER:-)

Kaha aa gaye hai

...........................................
Kaha Kaha zindagi ko kohj aaye hai
Na jaane kaha Ise chod aaye hai
jaab chale the tab paas hi thi
kis mod pe pata nahi riste tod aaye hai
..............
kabhi akele hue nahi the
ki zindagi to saath saath chati hi rahti thi
bure -acche har waqt me dosto ki tarah
seene se lagi hi rahti thi
..................
Yu chalte chalte itni duur aa gaye hai
saath saath tanhayieoo ko liye chale aaye hai
duur tak iski awaz bhi nahi padti kaano me
na jaane zindagi ko kaha piche chor aaye hai
..........
bewafa to hum itne hue nahi
phir manzile kyu saath chor gayi is tarah
sulajhti nahi na jaane kyu ye zindagi
malum nahi ise sawaru mai kis tarah
..........

नक़ाब