Friday, July 21, 2006

Kasti

Kaagajo ke naawo pe
Ye zindagi ke samundar naap rahe hai
Lahro lahro me uthte tufaano ko
Isi choti kasti se kaat rahe hai
...
Duur tak khali hai ye saumndar ki tarah
Bas dikhabati kinaaro ki jaise
Uttha patak chalti rahti hai
Sab aahsaas iki gahraayo me chupe hai
Bahar se bas sab shant hi dikhti rahti hai
....
Duur base taapu ki tarah
Har manzil duur hi dikhti hai
Hazar aanjaan raahe pahuchne ki untak
Mere paas bichi hi rahti hai
...
Kon disha me jaaye, pata nahi
had dishaye ek jaisi lagti hai
Har kagak ke naawo ki kahani
Shayad mere jaisi hi dihkti hai

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब