Monday, August 14, 2006

Aazadi

Aksar kahi, Aandero galiyoo me
Azzadi chup kar, roya karti hai
Phaila jaate hai wo, aatank ka sayaa
Aur khaki wardi sirf, soya karti hai

Jab bhi jalti hai, traino ko khidki
Tab koi unhe jaaga jata hai
Kar rahe hai wo khoj bin aaj tak
Ek news channel, aisa batla jata hai

Bahti hai nadiya, jab sharo pe
Tab koi food packets, gira jaata hai
Bah jaate hai jab, beghar bebas tab
Do bund aas ke, koi bahla jaata

Tab sadko aur galiyaro me
Kayi gandhi roya, karte hai
Jab dundli thandi raato me
Unke niche, bacche soya karte hai

Saath saal ki buudi azadi
Nahi khud se aab, chal paati hai
Jab bhi ek ladki, pass gharo me
Na jaane kyu,khud se jal jaati hai.

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब