Monday, June 26, 2006

Bas Mai...

wo khab tha,Jo dhul gaya
Wo gaath thi,Jo khul gayi
Baaris hui sab bah gaya
Har wo pal reet me mil gaya
...
Bachaya kuch bhi maine aab tak
Har Din ke saath sab bujh gaya
Din bhar chale mazilo ko hum
Raat aayi, zaha tha bahi ruk gaya
...
Koi Nisha,chora nahi
Dil ke kitaab aab bhi hai Kori
Jo bhi likha,sab dho diya
sab bhul kar, phir nayi dagar ho liya
...
Koi gila hamko nahi
Hum jaise hai waise hi sahi
Apna bana ke pate hai kya
Do pal khusi,ufff...hume parwah nahi
...

Friday, June 02, 2006

Badla Nahi...

Subah uttha
Aur chal pada
waisi hi hai
Jaise hi thi...ye zindagi

badala nahi hai abhi
Badlega shayad nahi
Roj ek hi rasto ke musfir hai hum
Ek hi geet har waqt gaate hai hum...
Wahi gagan
wahi pawan
pahle si hai...sara zaha

Ruka nahi, kabhi bhi mai..chalta raha
naya sahar..nayi dagar
Kabhi mile ye,sochte hai hum
ye soch bhi badli nahi
wahi baate
wahi raate
pahle hi si hai sab mulakatte

Kuch bhi to ..badala nahi
Kyu kabhi dil kuch kahta nahi
na jaane kab hogi nayi subah yaha
hai intajaar ...uska abhi

नक़ाब