Monday, June 26, 2006

Bas Mai...

wo khab tha,Jo dhul gaya
Wo gaath thi,Jo khul gayi
Baaris hui sab bah gaya
Har wo pal reet me mil gaya
...
Bachaya kuch bhi maine aab tak
Har Din ke saath sab bujh gaya
Din bhar chale mazilo ko hum
Raat aayi, zaha tha bahi ruk gaya
...
Koi Nisha,chora nahi
Dil ke kitaab aab bhi hai Kori
Jo bhi likha,sab dho diya
sab bhul kar, phir nayi dagar ho liya
...
Koi gila hamko nahi
Hum jaise hai waise hi sahi
Apna bana ke pate hai kya
Do pal khusi,ufff...hume parwah nahi
...

Friday, June 02, 2006

Badla Nahi...

Subah uttha
Aur chal pada
waisi hi hai
Jaise hi thi...ye zindagi

badala nahi hai abhi
Badlega shayad nahi
Roj ek hi rasto ke musfir hai hum
Ek hi geet har waqt gaate hai hum...
Wahi gagan
wahi pawan
pahle si hai...sara zaha

Ruka nahi, kabhi bhi mai..chalta raha
naya sahar..nayi dagar
Kabhi mile ye,sochte hai hum
ye soch bhi badli nahi
wahi baate
wahi raate
pahle hi si hai sab mulakatte

Kuch bhi to ..badala nahi
Kyu kabhi dil kuch kahta nahi
na jaane kab hogi nayi subah yaha
hai intajaar ...uska abhi

Tuesday, April 04, 2006

Ailaan

Wo Kitne, bhi duur baathe ho
Hum pass unhe bula lenge
Itna shurur hai aapni chahat me
Ye sabad hamare bata denge
..
Wo kah na paaye jo humse
Us baat ko hum kahla denge
Kuch raaj na rah jaaye baaki
Har raaj ko aaj mita denge
..
Wo ruk na paayenge aab to
Bechain unhe bana denge
Baaho me aa jayenge mere
Jo hum baahe phila denge
..
Koi dekh na le meri chahat ko
Zaamane se unhe chipa lenge
Unhe banaya gaya hai mere liye
ye baat hum sabko batla denge.
..

Thursday, March 23, 2006

Hoo Jaaye

एक  रात  रूमानी  हो  जाये
हर  बात  सुहानी  हो  जाये
मिला  दो  शाम  को  एक  शायर  से
की  ये  शाम  दीवानी  हो  जाए
....
रोको  ना  हाथ  प्यालो   के
की  ये  रात  बेमानी  हो  जाये
चढ़ने   दो  नशा  इरादों  पे
एक  और  कहानी  हो  जाए
....
हम  होश  गबाये  बैठे   हैं  
ना  होश  मुझे   अब   आने  दो
बेचैन  हो  रही  धड़कन  है
होटो  को  और  पिलाने  दो
 ....
मिल  जाए  दिल  से  दिल  ए  साकी
तो  ये  रुत  रूहानी  हो  जाए
वक़्त  नहीं  है  हुजुर  किताबो  का
अब   कुछ  बात  जुबानी  हो  जाये
 ...

Sunday, February 12, 2006

Aks..

Kichte hai sab aapni dagar
Sab har hisse ko pana chahte hai
Bat gaya hu sabki sunte sunte
Kyu log hamesha apni sunana chahte hai
......
Kyo nahi chor dete akela mujhe
Kyu itnana beabs bana diya hai
Kon si gunaaho ke sajaa di hai aye rab mere
Ki mujhe aapne insaa bana diya hai
....
Latpath jakhm mere,
bas mujhe hi kyu dikhte hai
raah me pade kaate
kyu mujhe hi chubte hai
...............
Nafrat si hoti hai aaino se
Bewafa aapni surat dekh nahi paate hai
Kyu kar diya hai ghayal usko aapni tarah
Appne is pahlu ko soch nahi paate hai
............

Aks..

Kichte hai sab aapni dagar
Sab har hisse ko pana chahte hai
Bat gaya hu sabki sunte sunte
Kyu log hamesha apni sunana chahte hai
......
Kyo nahi chor dete akela
mujheKyu itnana beabs bana diya hai
Kon si gunaaho ke saja thi ae rab
Ki mujhe aapne insaa bana diya hai
....
Latpath jakhm mere,
bas mujhe hi kyu dikhte hai
raah me pade kaate
kyu mujhe hi chubte hai
...............
Nafrat si hoti hai aaino se
Bewafa aapni surat dekh nahi paate hai
Kyu kar diya hai ghayal usko ko aapni tarah
Appne is pahlu ko soch nahi paate
............

आज़ाद

नहीं नापता मैं खुद को तेरे पैमाने से .. मेरी तासीर मेल न खायेगी  इस ज़माने से ।। अपनी जेब में रख  तेरे कायदे कानून .. मैं नहीं टूटने वाला ते...